March 3, 2012

Fir Bhi... Mai chal rha hu...

Khet ki pagdandiyo pe..

kuch kaanch k tukde pade they..

Fir bhi... mai chal raha tha..


Mai chal raha tha kyuki..

Aur koi raasta nahi tha..

Aur mujh akele se..

Kisi aur ka waasta nhi tha..


Aur ab prashn hai k, hu mai kaun??

Mai Gerua hu, ya harit, ya koi aur..

Mai bramhan hu, ya dalit, ya koi aur..

Uttar nahi hai ab kahi bhi.

Fir bhi... mai chal raha hu..


Aur prashn ye bhi hai k ja raha hu mai kaha?

Chalte Chalte vichar mai kya la raha??

Mai ugrvaad, aatankwaad ka pujari..

Ya koi badlaav ka geet ga raha hu..

Ab kahi koi bhi uttar nahi hai..

Fir bhi.. Mai bas akela he chala ja raha hu..


aur ab bhi...

Khet ki pagdadiyo pe..

Kuch kaanch k tukde pade hai..

Fir bhi mai unpe.. chalta chala ja raha hu...

No comments:

Post a Comment