September 26, 2010

KOI JAANE WALA HAI........

(Its something that your heart feels, when your best buddy departs....)


Koi jaane wala hai....
Koi hai jo bahut mehboob hai dil ko...
Koi hai jo bahut azeez hai dil ko...
Kisi k aane se fiza me bahar ayi thi...
Kisi k aahat pe zindagi naye rang layi thi...
Sab khushnuma hai fir bhi...
Koi jaane wala hai...
Hai rehnuma wo fir bhi...
Wo jaane wala hai...

Kahi dil k kaajal tale ek deep jala tha...
Kahi roshan hui aankhien...
Kahi koi phool khila tha...
Kabhi rangeen nazara...
Kabhi jagne ka bahana...
Kisi k dil me mera har ghadi rehna aur satana...
Jaise gumnaam musafir ko uski manzil se milana...
Hai sab kuch mere paas...
Lekin koi jaane wala hai...
Hai mera rehnuma wo fir bhi...
Wo door jane wala hai...

September 24, 2010

FASHION....

Kuch saal pehle beti, maa se ye puch baithi..
Maa skirt pehen lu kya, agar ho tumhari marzi..
Turant maa gussayi, sakhti se ye farmayi..
Salike se pehen tu kapde, ab jawan tu ho aayi..

Aaj fir se ek beti, maa se ye puchti hai..
Maa skirt pehenne me kya koi kharabi hai??
Par aj maa ghabrai, ghabrate hue farmayi..
Kuch bhi pehen le beti, izzat pe hai ab aayi..

Dosto ye zamana ab modern ho gaya hai..
Kam kapdo me jo ghume shohrat wahi paya hai..
Kisse to bahut honge zara gaur farmaye to..
Ek actress ka kissa, mujhko bahut bhaya hai..

Ek baar ek adakaara (actress) pahuchi hawaai adda..
Saaman kki checking me khada tha mooch-tanda..
Checking hui saaman ki ba-shaur o ba-izzat..
Par shak k dayre me tha, maachis ka ek dabba..

jab poocha gaya unse isme kya pada hai??
Bahut raub se wo boli, isme mera kapda hai..
Sab sun k bahut chauke, bhai ye kya maazra hai..
Wo muskurayi, boli, yaar modern zamana hai..

Par gaur farmaye to ek baat dil me aati hai..
Kam kapdo se kya duniya modern ho jati hai??
Hai baat me sachchai to ek baat aur suniye..
Modern sabse zada gharibi aur laachari hai..

September 9, 2010

HAM MAMA BAN K REH GAYE.............

Gaflato ki duniya me ham yu khote reh gaye...
Door hote gaye wo hamse aur ham sote reh gaye...
Aankhein khuli, jab hosh aya, dekha nazara aur tha...
Wo ban chuki thi amma, aur ham mama ban k reh gaye...


Jaan , jaana , jaanu, kya kya ham kehte they unhe...
Ulluo k maafiq jag jag k socha tha unhe...
Socha ye denge, wo denge, aur jaan tak de denge ham...
Par sach kahe to ham , bas khilauna hi dete reh gaye....
Wo ban chuki thi amma,, aur ham mama ban k reh gaye...


Raam jane kya hua, socha tha ham to BOND (007) hai...
Soch kar ham khush hue k unke dil k chaand hai...
Roz uthte they, nahate they, savarte they ham unke vaaste...
Maa kasam, patloon they, ab pajama ban k reh gaye....
Wo ban chuki thi amma, aur ham mama ban k reh gaye...


Dil ne chaha jaan le le, hamne bola chor yaar...
Dil to hai naadan, lekin ham hai bhaiya samajhdar...
Kya hua jo ham nahi Shahrukh ya Akshay kumar....
Guts hai, kaleja bhi hai, mohabbat to ham failayenge...
Aishwarya na sahi, ham katrina to le k ayenge...
Wo banegi amma aur ham papa kahe jayenge...
Aise he socho se, khyali pulaao se pak k reh gaye...
Wo ban chuki thi amma, ham maam ban k reh gaye...

September 7, 2010

EK ILTEJA......(a request)....

(Dedicated to all those who thought it would be difficult for them to live without their love of their life, after they lost her/him)


Ek ilteja karta hai mera dil subah-o-sham..
K bhool jau mai usey aur na lu uska naam..
Koshish ki bahut koshish ki..
Afsos, hua har ghadi nakaam..
Na thi koi ummeed k hoga koi us jaisa kahi..
Na jane kyu mera dil dhadakta hai sirf uski yaado pe har ghadi..
Hai faasle bhi bahut aur koi mel bhi nahi..
Inhi baato se meri zindagi do raahe pe aa khadi..
Kuch he lamho me maine sadiyo ka maza loot liya..
Socha, kya pata ye zindagi kal hogi ya nahi..
Mujhe pata hai is ehsaas ka anjaam nahi..
Par ye gustakh dil hai k manta hi nahi..
Aur ilteja bhi karta hai k mai usey bhool jau..

September 6, 2010

KEHNE KO EK BHAGWAAN....

Yaha Geeta bhi hai Quraan bhi hai..
Ek Raam aur Ek Rehmaan bhi hai..
Yaha Karva chaut, Ramzaan bhi hai..
Sabke dil me bhagwaan bhi hai..

Ab kya karu dil to dil hi hai..
Isme bahut armaan bhi hai..
Jag suna suna lagta hai..
Jab Holi Eid manate hai..
Kehne ko ham insaan to hai..
Fir bhi dil yu viraan hi hai..

Paapi duniya me rehte hai..
Ghut ghut k maala japte hai..
Kalyug me saanse lete hai..
Satyug ka par abhimaan bhi hai..

Jaha paise ka hi maan hai bas..
Jaha girta har insaan bhi hai..
Bhrastachaar ki dukaan bhi hai..
Par aasha me ek bhagwaan hi hai..

Man to ab Lanka ban baitha..
Bas hotho pe hi Raam ji hai..
Yaha Geeta aur Quraan bhi hai..
Yaha Raam aur ek Rehmaan bhi hai..

September 3, 2010

EK AAS HAI.....

(aj subah mai cafeteria se lauta to ek kamzor ka khayal aya jo zulm ka shikar ho raha hai aj ki duniya me, to dil me kuch alfaazo ne dastak di jo ap tak pahucha raha hu)


Kyu zindagi udaas hai....
Kyu aansuo ki pyaas hai....
Kyu hai insaan mar raha...
Kyu har ghadi ek aas hai...

Kabhi rishto ki maar se...
Kabhi jhoothe moothe pyar se...
Kyu dil hua hai banjar sa....
Kyu har ghadi ek aas hai....

Kyu shor ka safar hai ye...
Kyu bhagti hai zindagi....
Ab har kadam pe Raavan hai....
Fir bhi kahi ek aas hai....

Kyu dusro me dhundhte....
Kyu khud me na tum dekhte.....
Kyu zulm ke pahad me ....
Ab dab rahe ho har ghadi....

Ruk jao, Dekho khud me he....
Dhundho zara thaher k tum....
Jis aatma ki aas hai....
Wo Raam tere paas hai....

Jo har ghadi ek aas hai....
Wo Raam tere paas hai....
Jo zulm ka vinaash hai....
Wo Raam tere paas hai....