October 19, 2010

SAMETTI HU....

Sametti hu....
Kuch bhuli bisri yaadien...
Wo chandan van aur kaanha mera...
Mera jeevan aur saaya mera...
Sang uske kasme khayi thi...
Jee bhar k gale lagayi thi...
Uski aankhon me vishwaas...
Mere nayan me aasha...
Maine kuch yu ummeed lagayi thi...

Par....
Aasha to bas aasha hai...
Aur uske sang nirasha hai...
Sab bhul gaye...
Koi baat nahi...
Fir bhi...
Sametti hu..
Kuch bhuli bisri yaadein...
Wo chandan van aur kaanha mera.....

October 13, 2010

RAIT AUR SAAHIL....

Rait aur saahil kehne ko to sang hai..
Lekin aj unme koi baat to hui hai..
Koi rang to uda hai..
Koi raat to hui hai..

Hai dil me dono k kayi shikwe aur gile bhi..
Andaaz me bhi unke kai dooriya hai baithi..
Kuch galatfehmiya hai..
Koi ranjish to hui hai..

Aj lehrein bechain hai..
Aur rait bhi udi hai..
Aj inke darmiyaan..
Koi jung bhi chidi hai..

Lekin ye tum batao,
Kya hoga ab nateeja..
Jinko hai sang rehna..
Kab tak rahenge ruswa??
Koi raasta to hoga..
Jab baat yu bigdi hai..

Kab tak rahenge dono aise juda yu bekal..
Jab hai ye khud adhure ek dusre bin dono..
Wo rait jaise banzar jise saahil na milega..
Aur wo saahil kya rahega jaha rait he na hogi..

Zara gaur karo yaaro..
Kya hai koi bhi matlab..
Ab kya milega sabko..
Ek dusre k bin ab..

Kyu toot rahe ho tum..
Kyu khaul rahe ho tum..
Hai waqt ab bhi samjho..
Koshish karo ab dil se..
Ek khubsurat lamha..
Ek khusnuma sa manzar..
Wo laut aye fir se..
Wo laut aye fir se..
Us rait aur saahil ko milne do ab fir se..